sae ki pisli se nikla hai jism tera boson ka gila-pan lafzon ke honton par aawazen chalti hain hathon mein hath liye kanton ne lamhon ke khwabon ko noch liya hathon mein talwaren le kar wo aae the aae the kat gae mani ke nak aur kan tuta hai khun kahin duba hai aks kahin sahra ki chhati par suraj ka raqs kahin sae ki pisli se nikla hai jism tera