purani baat hai lekin ye anhoni si lagti hai sawad-e-sharq ka ek shahr tariki mein duba tha achanak shor sa uttha zamin jaise tadakh jae nadi mein badh aa jae koi koh-e-giran jaise jagah se apni hat jae bada kohram tha khilqat mata-o-mal se mahrum nange sar gharon se chikh kar nikli magar aal-e-safa-o-sidq ke kheme nahin ukhde wo apni khwab-gahon se nahin nikle riwayat hai safa-o-sidq ke bete hamesha raat aate hi hisar-e-hamd apne chaar jaanib khinch lete the muqaddas aayaton ko apne pe dam kar ke sote the riwayat hai balaen un ke darwazon se wapas laut jati thin sawad-e-sharq ka wo shahr us shab dher tha lekin safa-o-sidq ki aulad ke kheme nahin ukhde