suno kal tumhein hum ne madras cafe mein aubash logon ke hamrah dekha wo sab ladkiyan bad-chalan thin jinhen tum saliqe se kafi ke cup de rahe the bahut fuhsh aur mubtazil nach tha wo ki jis ke recordon ki ghatiya dhunon par thirakti machalti hui ladkiyon ne tumhein apni bahon ki jannat mein rakkha bahut dukh hua tum ne hotel mein kamra kirae pe le kar un aubash logon aur un ladkiyon ke hujum-e-tarab mein gai rut tak jashn-e-sahba manaya bahut dukh hua khandani sharafat buzurgon ki banki sajili wajahat ko tum ne sar-e-am yun raund dala saliqa jo hota tumhein laghzishon ka to apne buzurgon ki manind tum bhi gharon mein kanizon se pahlu sajate pae ishrat-e-dil haweli mein har shab kabhi raqs hota kabhi jam chalte kisi mah-rukh par dil-o-jaan lutate saliqa jo hota tumhein laghzishon ka to yun khandani sharafat wajahat na mitti mein milti na badnam hoti