na-umidi ye batati hai ki shab ki chadar aakhiri chhor hai ki khatm hua mera safar tirgi jit gai haar gaya nur-e-nazar dil ke kone mein tabhi jalti hai ek sham-e-yaqin raat manzil bhi nahin mil ka patthar bhi nahin ek khamosh si aawaz mein kuchh gate hain raat ke khwab jo jugnu ki tarah aate hain subh ke hone mein be-nur se ho jate hain dil ke kone mein tabhi jalti hai ek sham-e-yaqin raat manzil bhi nahin mil ka patthar bhi nahin chahe chaurahe ki shobha hon ki mandir mein makin but kahin bhi sajen patthar ke siwa kuchh bhi nahin na koi laghzish-e-pa un mein guman hai na yaqin zindagi mahw-e-safar mahw-e-safar mahw-e-safar har nafas mil ka patthar hai sar-e-rahguzar