jangal jangal aag lagi hai basti basti viran hai kheti kheti rakh udti hai duniya hai ki bayaban hai sannate ki haibat ne sanson mein pukaren bhar di hain zehnon mein mabhut khayalon ne talwaren bhar di hain qadam qadam par jhulse jhulse khwab pade hain rahon mein subh ko jaise kale kale diye ibaadat-gahon mein ek ek sang-e-mil mein kitni aankhen hain pathrai hui ek ek naqsh-e-qadam mein kitni raftaren kafnai hui ham-safro ai ham-safro kuchh aur bhi nazdik aa ke chalo jab chalna hi muqaddar thahra hath mein hath mila ke chalo