tumhein is shahr se rukhsat hue kitna zamana ho chuka phir bhi abhi tak mere kamre mein tumhaare jism ki khushbu ka dera hai ba-zahir to tumhaare baad abhi tak main bahut hi mutmain aur shant lagta hun magar jab raat ke pichhle pahar kamre mein aata hun to jaane kyun achanak meri aankhon mein nami si tairne lagti hai palken bhig jati hain aur us lamhe na jaane kyun mujhe shak sa guzarta hai ajab ek wahima sa mere dil mein sar uthata hai ki is viran kamre mein kahin diwar-e-girya to nahin rakh di kisi ne!