tum jo lafzon ke gorakh-dhande mein uljhe be-ras shaeri karte ho lughat se lafz uthate ho aur daen baen un ko chaba kar sher ugalte rahte tum ko kya malum ki kya hai ishq aur us ki haqiqat kya hai pyar hai kya aur chahat kya hai tum ne kisi ke hijr mein kab raaten kati hain? kab tum wasl ke nashshe se sarshaar hue ho tum ko kya malum ki honton ka ras kya hota hai kaise aankh se girte aansu moti ban jate hain tum ko kya malum ki kaise bazuon mein aa kar mahbub pighal jate hain tum ko kya malum mohabbat kya hoti hai tum ko kya malum judai ki shab kaise katti hai aur din kitne viran hote hain tum ko kya hai tum to apni biwiyon se bhi dare dare sharminda sharminda ham-bistari karte ho tum ko kya malum hai shaeri pura mard aur puri aurat mangti hai tum ne kisi hijde ke lab par sher ka phul khile dekha hai us ki ujdi viran aankh mein nazm ka dip jale dekha hai ye to ho sakta hai (aur akasr aisa hota aaya hai) shaer hijde ho jate hain lekin koi hijda shaer ho nahin sakta shaeri pura mard aur puri aurat mangti hai