bahut qarib se aai hawa-e-daman-e-gul kisi ke ru-e-bahaarin ne haal-e-dil puchha ki ai firaq ki raaten guzarne walo khumar-e-akhir-e-shab ka mizaj kaisa tha tumhaare sath rahe kaun kaun se tare siyah raat mein kis kis ne tum ko chhod diya bichhad gae ki dagha de gae sharik-e-safar ulajh gaya ki wafa ka tilism tut gaya nasib ho gaya kis kis ko qurb-e-sultani mizaj kis ka yahan tak qalandarana raha figar ho gae kanton se pairahan kitne zamin ko rashk-e-chaman kar gaya lahu kis ka sunaen ya na sunaen hikayat-e-shab-e-gham ki harf harf sahifa hai, ashk ashk qalam kin aansuon se bataen ki haal kaisa hai bas is qadar hai ki jaise hain sarfaraaz hain hum satiza-kar rahe hain jahan bhi uljhe hain shiar-e-rah-e-zanan se musafiron ke qadam hazar dasht pade, lakh aaftab ubhre jabin pe gard, palak par nami nahin aai kahan kahan na luta karwan faqiron ka mata-e-dard mein koi kami nahin aai