main sochta hun ek nazm likhun lekin is mein kya baat kahun ek baat mein bhi sau baaten hain kahin jiten hain kahin maten hain dil kahta hai main sunta hun man-mane phul yun chunta hun jab mat ho mujh ko chup na rahun aur jit jo ho darrana kahun pal ke pal mein ek nazm likhun lekin is mein kya baat kahun jab yun uljhan badh jati hai tab dhyan ki dewi aati hai aksar to wo chup hi rahti hai kahti hai to itna kahti hai kyun sochte ho ek nazm likho kyun apne dil ki baat kaho behtar to yahi hai chup hi raho lekin phir soch ye aati hai jab naddi bahti jati hai aur apni anant kahani mein yun be-dhyani mein rawani mein mana har mod pe mudti hai par ji ki kah ke guzarti hai sar par aai sah jati hai aur munh aai kah jati hai dharti ke sine pe chadhti hai aur aage hi aage badhti hai yun main bhi dil ki baat kahun ji mein aae to nazm likhun chahe ek baat mein sau baaten jiten le aaen ya maten chahe koi baat bane na bane chahe sukh hon ya dukh apne chahe koi mujh se aa ke kahe kyun bol uthe kyun chup na rahe chahe main kah kar chup hi rahun main sochta hun ek nazm likhun lekin is mein kya baat kahun