aawazen raat ki khamoshi mein ojhal hone ka sandesa lai hain chand ke aadhe tukde par kuchh khwabon ki tadfin hui hai ghade ka pani qatra-qatra dol raha hai diwaron ki mitti mein barson se gundhi kuchh poron ka lams achanak qalb-kade mein chikh pada hai raat ke kale tawe par wahshat ki roti pakne ko tayyar padi hai ghadi ki dimak sans ka nadida darwaza chat rahi hai main yaadon ki takhti le kar us par apne ghaghu ghode pariyan jugnu titli gudiya bante mor ke par boson ki toffee aur harfon ka pak sahifa taswiron mein dhaal raha hun kal aur aaj ke sare raste chal aaya hun tanhai ke chaurahe par aan khada hun chaaron jaanib ashkon ki ek barf jami hai sans thami hai aur mere hathon se jaise budhi ungli chhut rahi hai