aaj bhi raat sone se pahle mere bete ne mujh se kaha main use koi achchhi kahani sunaun to main ne use ek dilkash jazire mein achchhe guzarte dinon ki kahani sunai jo mujh se mere bap ne ye kahi aur is ne wirasat mein is dastan ko suna hum ne bachpan mein sar-sabz-o-shadab nile jazire mein pariyon phalon aur phulon chahakti hui bulbulon ki kahani suni thi jazira samundar ki aazad lahren jahan nachti hain jahan aman hi aman hai chin hi chin hai har naya din bashaarat ki baraat ban kar utarta hai mera beta jo soya hua hai kahin titliyon ke taaqub mein bechain hai hum sabhi aankh munde hue titliyon ke tukka kab be bechain hain ki shayad andhere mein lipte hue sabz baghon ke qisse ye nila jazira kitabon mein danish ki har lauh par ghair mafhum alfaz hain kai manchale manchalon ke giroh is jazire ke lambe safar par gae aur palat kar na aae mera beta jo soya hua titliyon ke tukka kab be bechain hai main use bhi safar par gaya aur palat kar na aata hua dekhta hun hum ne sadiyon se panw ko hathon ko sinon ko be-dard mekhon se chhalni kiya aur lahu ki tarah surkh lohe se apni zabanon ko dagha magar wo jazira pahadon ki jaanib safar tha ki chalte to wo dur hi dur jata thaharte to jaise wo nazdik aata yunhi nasl dar nasl hum ne andhere mein lipte hue in jaziron ki baaten kahin aur un jhut ki jhaalron hashiyon ko uthae rakkha nasl-dar-nasl hum qafila qafila bail kandhe badalte hasin jhut ki ye saliben uthate rahe main ki jamid zehanat ka qail nahin hum ne apne se pahlun ke ilm o farasat ki tashrih o tawil mein apni rag rag se sari zehanat ko ghaarat kiya hum ne apne buzurgon ki khiffat mitane chhupane ki khatir lahu momyai kiya kisi ne kaha wo jazira samundar ke is par hai aur hum nasl-dar-nasl dubi hui kashtiyan ban gae kisi ne kaha wo jazira ufuq se pare aakhiri fasle ke dhoen mein chhupa hai aur hum qahr sahra mein baraat bardar tuta hua qafila ban gae magar wo jazira ajab daldalon ka safar hai ki sau kos jaen to jaise faqat do qadam hi chale hain magar wo jazira pahadon ki jaanib safar hai ki jaen to wo dur hi dur jae jo thahren to jaise wo nazdik aae