waqt ki zanjir to kat nahin sakti magar khol ghadi do ghadi qufl dar-e-zat ka aaina-e-zabt ko sang-e-tamanna se tod aur khushi se baha dil mein ruka sail-e-dard soch zara der ko gosht ke malbus mein pinjra hain ye pisliyan jis ke ajab sehr mein qaid teri ruh ka taer-e-khush-rang hai aankh utha kar to dekh bazu kushada kiye wo shajar-e-shash-jihat kitne zamanon se hai sirf tera muntazir taer-e-khush-rang ki hamrahi-e-shauq mein pinjre samet ud zara hairat o imkan ki wadi-e-na-mukhtatim lamha-e-la ki taraf