hawa ke hathon mein hath de kar judaiyon ke safar pe nikle the tum magar kyun ruke hue ho yaqin-e-khufta guman-e-pukhta ke paniyon par jahan pe awwal mohabbaton ke kanwal khile the abhi wahin ho! judaiyon ke safar pe ja kar bhi ab talak tum gae nahin ho! chale bhi jao chale bhi jao ki gum-shuda zat ke khazine ki kunjiyan dhundni hain main ne sukut-e-saut-o-sada ke parde mein tarz-e-guftar sikhni hai nikal ke maujuda waqt ke be-daricha be-dar haweliyon se mujhe mulaqat sochni hai bahut si be-nam ghair mahdud saaton ki saheliyon se chale bhi jao bas is se pahle ki mom-lamha pighal hi jae ki jabr aaghaz ho shabon ka ki soch rasta badal hi jae chale bhi jao