samundar sar jhukae ba nahin phailae hue chup chap baitha hai abhi kuchh der hi pahle talatum khez maujen thin zamana us ki thokar par samundar sar jhukae ba nahin phailae hue chup-chap baitha hai thaka-manda kisi haare khiladi ki tarah lekin achanak hi kisi manus khushbu ne use chaunka diya hai samne masum nadiya sans roke dam-ba-khud hairan samundar ki udasi dekhti hai meri oma chali aao purani rit sadiyon ki nadi sagar se milti hai sada milti rahegi meri azmat meri wusat ki jis par naz tha mujh ko wo bas ek iltibas-e-waqt tha ab to mere pani mein gad-lahat hai mere zaiqe mein khaare-pan ki kat hai aisi ki sairabi kisi bhi tishna-lab ki ho nahin sakti faqat tu hi to pakiza tere bahte hue pani mein wo tasir hai jo sat qulzum ki kasafat ko mita dale meri oma zamana jhut hai lekin to sachchai ye rishte aankh ka dhoka magar tu chashm-e-bina aur binai maha-sagar tujh to yaad hai sachche zamanon se mera wo gungunata rasta sidha tumhaari or aata tha magar tu kis qadar maghrur tha teri raunat ne faqat ek nan ke bute par mere alhad bahaw ko wahin par rok dala tha main nadiya thi safar nadiya ke pani ki wadiat hai mujhe bahna tha har surat kisi bhi taur chalna tha mudawwar ghatiyon dilbar zaminon aur maidanon ne fayyazi se mujh ko rasta bakhsha maha-sagar mujhe ab laut jaana hai hasin suraj ki kirnon se milan kar ke abhi baadal banana hai mujhe chatyal zaminon garm maidanon ko bhuri ghatiyon ko sat rangi peng ka ehsan lautana hai bin jal ke jo dharti hai wahan sabz bichhana hai