wo jism jis ko andhere ne chandni mein buna wo jism jis ko tarasha nahin gaya tha magar wo jism khud hi tarasha hua tha ek paikar wo jism jis ke wasile se us jazire ki jo sair main ne kabhi ki thi bhulna hai abas wo fasla ki jo sadiyon mein tai nahin hoga wo tai hua tha faqat sirf chand lamhon mein meri ragon mein abhi khun munjamid hai magar tumhaari yaad ki purwa kabhi jo bahti hai to apne hone ka ehsas jagta hai bahut alag ye baat ki ye jism-e-na-tawan mera safar se lautte lamhon mein hanpta hai bahut