jahan pe khatm ho aisa safar nahin aaya wo tirgi hai ki kuchh bhi nazar nahin aaya wo raushni hai ki chashm-e-ghazal hairan hai nahin hai tab ki dekhe zara bhi su-e-falak kahan se aai hai ru-e-zamin pe aisi chamak ye rocketon ke dhamake ye asri missile guman hai samt-e-samundar badal ke rakh denge hare bhare sabhi manzar badal ke rakh denge fasil-e-jism ki diwar dha ke rakh denge ye gham alag hai ki wo aabshaar sukh gaya ki jis se milti thi jangal ki zindagi ko numu faza mein dur talak phaili hui hai kaisi bu gulon ke hont se ab tak farar hai khushbu ye manta hun ki zauq-e-junun ki sarhad pe abhi bhi hijr ki parchhaiyan sulagti hain abhi bhi dasht mein kuchh lakdiyan sulagti hain khizan ke ba'd chaman mein bahaar aati hai alag ye baat kabhi ashk-bar aati hai agar ye sach hai to aisa yaqin hai mujh ko tere visal ka mausam zarur aaega abhi udas hai jangal lahu lahu hai faza mere junun ka parinda abhi muhajir hai jahan pe khatm ho aisa safar nahin aaya