mere makan ke samne wo junhi aaya yak-ba-yak koi barq zan-zanati aankh mein utar gai lahu mein jaise an-ginat kabutaron ki phadphadahaton ne sab ragon ke tar jhanjhana diye tamam khidkiyon ke pat khatak se badan ne band kar liye magar safed ghode par sawar ajnabi ki aankh mere gird-o-pesh istada jismon ki fasil tod kar mere sirhane aa gai meri har ek sans jaise khanjaron ki nok mein piro gai na jaane kitni mehrban suraten na jaane kitne bhule-bisre waqiye na jaane kitni hasraton ke qafile shikasta kanch ki tarah bikhar gae main ek taraf to un ko jodne sametne ki rau mein mubtala-e-karb tha aur dusri taraf hazaron khanjaron se apni sans ki tanab ko sambhaalne ki had mein zakhm zakhm tha is ek lamhe mein hi sari umr ki masafaton se bhi tawil-tar safar ada hua magar na itna hausla hua ki us se ham-kalam ho sakun safed ghode par sawar ajnabi dar-e-makan par khada tha chup magar mujhe hisar-e-jaan ke pas bhi khada dikhai de raha tha aur main ek chikh rokne ki justuju mein sad-hazar chikh mujtama kiye aab-e-tegh-e-jism kho chuka tha aur ek sirf ek surkh bund ka nishan tha safed ghode par sawar ajnabi chala gaya