nanhe-munne aansu teri umr-e-daraaz tujh mein sari duniya ka manzar mahfuz tu sare lamhon ka saz tere andar qaus-e-quzah ke saton rangon ke jharne jagmag karte suraj chand sabz samundar dhani mausam ki khushbu hath pasare kale mausam ka jadu aur dahakte angaron ke surkh mahl tu bazar, gharon aur chaurahon ka hakim mamta ki raushan taswir sare khasta nim-barhana khak-alud ajsam ki ek rakhshan tahrir tere aage shahon aur shahanshahon ke taj bhi aa kar jhuk jate hain dekho to ek nanha qatra lekin ek bada tufan nanhe-munne aansu teri umr-e-daraaz