kis qadar garan thahri mausamon ke sahil par aar-par hoti dhund aaine ki qatil hai sham mein nikalti dhund dil zara sa bojhal tha us pe aan thahri hai phir se ye ikahri dhund aankh rauzanon par hai kis tarah utarungi waswason ki phaili dhund ek zard barish mein aur nind laegi khwab ki sunahri dhund