show-case se jhankti guDiya

kabhi hum phul hote the
gulabi narm-o-nazuk os mein bhiga

mahakta muskuraata khushbuon ko chumne wala
mohabbat karne wale jhum uthte jab hamein pate

hamein poron se chhu kar ruh tak mahsus karte the
kai collar kai aankhen anokhe wasl ke lamhe

hamare muntazir hote
hamare husn ke charche gali-kuchon mein hote the

adaon ke sunahre tir palkon mein pirote the
hui muddat ki hum patjhad ke pairon ki bane hain dhul

lekin ye haqiqat hai
kabhi hum phul hote the


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close