safir-e-laila yahi khandar hain jahan se aaghaz-e-dastan hai zara sa baitho to main sunaun fasil-e-qarya ke surkh patthar aur un pe azhdar-nishan burjen gawah qarya ki azmaton ki chahaar jaanib nakhil-e-tuba aur us mein bahte farawan chashme buland pedon ke thande sae the shakh-e-zaitun isi jagah thi yahi sutun the jo dekhte ho pade hain murda giddhon ke manind uthae rakhte the in ke shane azim qasron ki sangin saqfen yahi wo dar hain safir-e-laila ki jin ke takhte uda liye hain dinon ki aawara sarsaron ne yahin se guzri thin surkh unton ki wo qataren ki un ki pushten sanobaron ke safed palan le ke chaltin uthae phirtin jawan pariyon ki mahmalon ko ye sehan-e-qarya hai un jaghon par ghani khajuron ki sabz shakhen falak se taza phalon ke khoshe chura ke bharti thin pahluon mein safed pani ke sau kuen yun bhare hue the ki chaudi mashkon ko hath bhar ki hi rassiyan thin mazaf-e-qarya mein sabza-gahen aur in mein charti thin farba bheden shimal-e-qarya mein nil-gaen manar-e-masjid se dekhte the pare hazaron kabutaron ke fasil-e-qarya se gumbadon tak paron ko zoron se phadphadate the aur sehnon mein daudte the yahin tha sab kuchh safir-e-laila isi jagah par jahan babulon ke khar phirte hain chuhiyon ki sawariyon par jahan parindon ko haul aate hain rakh udti hai haddiyon ki yahi wo wahshat-sara hai jis mein dilon ki aankhen laraz rahi hain safir-e-laila tum aaj aae ho to bataun tere musafir yahan se nikle ufuq ke parbat se us taraf ko wo aise nikle ki phir na aae hazar kohna duaen garche buzurg honton se uth ke baam-e-falak pe pahunchin magar na aae aur ab yahan par na koi mausam na baadalon ke shafiq sae na surajon ki safed dhupen faqat sazaen hain ungh-bharti karih chehron ki dewiyan hain safir-e-laila yahan jo din hain wo din nahin hain yahan ki raaten hain be-sitara sahar mein koi nami nahin hai