aaghosh-e-ehtiyat mein rakh lun jigar kahin darta hun le ude na kisi ki nazar kahin ghurbat mein ajnabi ka bhi hota hai ghar kahin din-bhar kahin guzar diya raat-bhar kahin aghyar hun kahin but-e-shorida-sar kahin sab kuchh ho aah mein to ho apni asar kahin yun uf na bagh-e-dahr mein barbaad ho koi bulbul ka aashiyan hai kahin baal-o-par kahin main aaj apni aah ka karta hun imtihan hun aasman zamin na zer-o-zabar kahin qaid-e-qafas mein hasrat-e-parwaz kyun rahe sayyaad jo uda de na hai baal-o-par kahin rahti hai un ki yaad meri dil mein har ghadi 'auj' un ke dil mein kash ho mera bhi ghar kahin