sag-e-ham-safar aur main wahan aa gae hain jahan khatm hai kaenat yahan se nasheb-e-zaman-o-makan ka agar jaeza len to lagta hai jaise dhundlakon ke us par jo kuchh bhi hai thik hai hasb-e-mamul hai mera nam shenandora hai main kitni sadiyon se us bahr-e-zakhkhar mein khema-zan tha jo mawwaj samt-e-digar mein raha ek din daf-e-aseb o raf-e-bala ke liye kuchh pur-asrar fiqron ki gardan karta hua jada-e-khauf par gamzan tha main apne shabistan ki jaanib ki ek larzish-e-na-gahan se guzarna pada to andhe zamanon ki sahra-nawardi ke aakhir mein wo ek tarik lamha tha jab sag-e-ham-safar aur main manda o gursana yahan is ilaqe mein warid hue aur andhere mein kuchh fasle par teri raushni dekh kar raqs karne lage sag-e-ham-safar aur main sag-e-ham-safar aur main