qafas ka dar khula ek nim-jaan kam-sin parinda chand khasta zaichon par raqs ke andaz mein aage badha, phir chonch se apna pasandida musawwar zaicha us ne uthaya aur apne hi hidayat-kar ke aage adab se rakh diya jhuk kar hidayat-kar garche nur se tha bad-guman mahrum na-khwanda sar-e-sail-e-rawan ek barg-e-be-maya nawisht-e-bakht ke asrar se waqif tha wo shayad nazar ke ru-ba-ru us ne mata-e-be-nihayat ke fasane se mujhe khush-haal kar dala mujhe pamal kar dala sabhi mauj-e-ziya mein the sabhi ke chashm o dil mein ek shola tha sabhi khamosh gum-sum hain yahan se kaun jaega yahan par kaun aaega parinda nim-jaan kam-sin qafas mein ja chuka kab ka hidayat-kar ki aankhon mein laut aai hai virani jo kal khali tha wo dast-e-talab hai aaj bhi khali labon par lutf-e-andam-e-nihan ki an-suni gali