ye meri muskan faqat meri hi nahin hai ye sab ki hai is duniya ki sari kadwi kadwi baaten sare dukh sari kadwahat jiwan ki zahrili dukh bhari kahani khud kahta khud hi sunta hun khushiyan sab ki dukh mere hain har har yug mein janm liya hai main har yug mein paida hunga amrit dunga zahr piyunga main is yug ka shiw-shankar hun