aa is taraf bhi aabid-e-shab-zinda-dar dekh mauj-e-hawa mein silsila-e-zulf-e-yar dekh be-baada kis ne pae hain asrar-e-kaenat aa mai-kade mein raqs-e-mai-e-khush-gawar dekh kab tak rahin-e-jalwa-gah-e-hur-o-salsabil jangal ki dewiyon ko lab-e-juebar dekh jin ki har ek bund mein ghaltan hai khuld-e-aish un baadalon ka raqs sar-e-kohsar dekh be-kaifiyon mein ruh ki tabindagi kahan aa chandni mein bahte hue aabshaar dekh har phul mein hai dukhtar-e-irfan khula hua rangini-e-bahaar ba-qadr-e-bahaar dekh ta-chand saumi’a mein ye rahmat ki justuju aa mai-kade mein rahmat-e-parwardigar dekh