har sham tum aate ho guzar jate ho meri aankhen subh se sham aur sham ke malgaji ujale mein tumhaari aamad ki muntazir tumhein dekhte hi raushan ho uthti hain aur jab tum nahin aate sham udasi ki chadar odh leti hai dil dubne lagta hai main sochta hun aisa kyon hota hai ghota-khor samundar mein ghote laga kar gauhar talash karte hain har ghota gauhar-e-nayab ki justuju hai tum samundar ho na main ghota-khor lekin mujhe batao wo kaun sa gauhar-e-nayab hai jis ki talash jis ki mujhe talash hai mujhe hai