qaum ki behtari ka chhod khayal fikr-e-tamir-e-mulk dil se nikal tera parcham hai tera dast-e-sawal be-zamiri ka aur kya ho maal ab qalam se izar-band hi dal tang kar de gharib par ye zamin kham hi rakh aastan-e-zar pe jabin aib ka daur hai hunar ka nahin aaj husn-e-kamal ko hai zawal ab qalam se izar-band hi dal kyun yahan subh-e-nau ki baat chale kyun sitam ki siyah raat dhale sab barabar hain aasman ke tale sab ko rajat-pasand kah kar tal ab qalam se izar-band hi dal nam se peshtar laga ke amir har musalman ko bana ke faqir qasr-o-aiwan mein ho qayam-pazir aur khutbon mein de 'umar' ki misal ab qalam se izar-band hi dal aamariyyat ki ham-nawai mein tera ham-sar nahin khudai mein baadshahon ki rahnumai mein roz islam ka julus nikal ab qalam se izar-band hi dal lakh honton pe dam hamara ho aur dil subh ka sitara ho samne maut ka nazara ho likh yahi thik hai mariz ka haal ab qalam se izar-band hi dal