us gird-o-nawah mein mahki thi wo naghma ba-lab lale ki kali patti par lipti patti sarkati aahista khiram sunahri dhupon mein ek puri rut ka kham us ke amrit se bhara ek puri rut dandi dhalkane pankhudiyan bikhrane ko darkar hui sab chaman chaman gul hauz labaalab sae ghane jhonkon ki surat ki rawan-dawan uftada ba-zahir sab rahen rahti hain paiham sargardan sab agle pichhle yug sab baste ujadte ganw nagar sharnathi nirwasi paiham dohraate hue wo biti baaten jin ka koi ant nahin pidhi pidhi kalakh piti in rahon par chalte chalte talwe pathra jate hain pathrahat dhire dhire hasti ka zahir baatin sab leti hai nigal aankhen sakit aansu jym jate hain jab koi na ho jab saya shakh-e-gul afi ban kar renge har aahat ke nadida hath mein chaqu ka phal khula hua rah rah kar chamak uthe tab kaun hai ye shane par narmi se rakha jaane wala ek hath kahin ye khusraw ka naghma to nahin ek pal sanjog zamanon ka jaanon ka aur armanon ka jharna ban kar patthar se phut pada ye apni aankhen kitne dur-daraaz zamanon mein khul sakti hain pani is chhanw ka thanda yakh pani mein basi kuza ki sugandh marham zakhm-e-jigar ka aur kari itna ye apni aankhen kitne dur-daraaz zamanon mein khul sakti hain sab kuchh waisa hi jaise sach-much ka zi-nafas kushada gird-o-pesh tamir ujli ujli jadon mein har aan ujagar ojhal arz-o-sama is gird-o-nawah mein utra tha ek shahr-e-nawa wo ek samay ka dip samay ki aandhi mein jalta tha yahan is mein jitna bhi shamil tha mahlon ka fasilon ka hissa nabud hua nabud hua jata hai paiham qatl-e-am ka khat lashkar gahon ka raqba qarnon ka asasa purab ka aahang ye jaana pahchana ek narm tamazat basant-rut mein rachi hui jab jab main lali kahti hun ek suraj zer-e-khatt-e-ufuq mahjub hua jata hai jaise ek aalam ho us ki taraf angusht-numa tham jate hain pal bhar ko nawa-gar safar-nasib ye kis sagar ki parwarda badli hogi kitni jaan lewa masafaten tai kar ke use is wadi ke daman mein mila hangam barasne ka