ek bijli ke khambe tale kitne zinda bache aur kitne jale kis ko malum ho kaise malum ho koi in ka sharik-e-shab-e-gham na tha sham se ta-sahar apne anjam se be-khabar aatish-e-soz-e-pinhan mein jalte rahe raqs karte rahe subh hone se pahle siyah raat ke qafile sard lashon ke ambar ko aa ke bikhra gae shikasta paron ko hawaon ke jhonke na jaane kidhar ko uda le gae kis ko malum ho kaise malum ho aatish-e-soz-e-pinhan mein kitne jale kitne zinda bache