wo ek sahil ki sham thi jab hamare eazaz mein khushi se habab phode the machhliyon ne salam har mauj ne kiya tha qarib-tar dekh kar samundar ne apna daman hamare jalwon se bhar liya tha wo apni maujon ka aur talatum ka aks shayad hamari aankhon mein dekhta tha