sahilon se kaho, main nahin aaunga ab kisi shahr ki raat mere liye jagmagae nahin dhup budhe makanon ki unchi chhaton par mera nam le kar bulae nahin main nahin aaunga yaad aata hai, ek din kisi se kaha tha tujhe pahan kar dur ke shahr ki ajnabi dhartiyon mein utar jaunga main aqida hun: mar jaunga yaad aata hai, ek din kisi ne kaha tha mein tere liye, tere ehsas ki wadiyon ki ghani chhanw mein pur-sukun nind so jaungi be-sada lafz hun, teri aankhon mein kho jaungi yaad aata hai, ek din mere ru-ba-ru: ek pur-shor aur be-karan bahr tha yaad aata hai, ek din mere ru-ba-ru: mein koi jagta jagmagata hua dubta shahr tha ek aawaz thi: duriyon se bulati hui ek aawaz thi, dur ke ek akele pahadi nagar ke anokhe se manzar dikhati hui mujh se chhu kar kahin dur jati hui waqt mujh se pare waqt tujh se pare main aqida hun tu be-sada lafz hai apne apne badan ke alao mein jal jaenge dur ke jagmagate hue muntazir sahilon se kaho hum nahin aaenge hum nahin aaenge