kuchh agar hai to mile

khwab mein aae mujhe mujh se milae
mujhe sairabi-e-didar se gulzar kare

khwab wo khwab ki ho jis tamazat ka fusun-zad
khwab wo khwab ki ban jae shikast-e-be-dad

katthai rang ghule surmai sham mein aise ki shafaq
khun ki aanchon se dahak kar phaile

aate-jate hue logon ki tag-o-taz bhi
andeshon se anjaan lage

jage khadshe bhi khadd-o-khal tamanna se hun mabhut
har ek uzlat-e-jaan shauq ki shamshir liye

phail ke sahil-e-payab ko ghaarat kar de
marqad-e-hila-e-be-sud mite

kuchh agar hai to mile
koi gar hai to chala aae mujhe mujh se milae

mujhe sairabi-e-didar se gulzar kare


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close