sahar tha jis ki baaton mein nakhl-e-samar tha jis ke hathon mein jadu-bayan aisa jo banjh zaminon se faslen uga gaya wajud ki be-mani kitabon mein hamein dars-e-ibrat de gaya maut aur zist ke darmiyan kitne fasle masdud kar gaya tajrabaat ka bas apne pyalon mein ghol kar shakhon mein aansu khila gaya le aaya wo saughat jo zakhm-e-dil ka mudawa bhi bani qudrat ne us ko bakhshi dayar-e-shauq ki rahbari har lamha jis ne ki apni zat ki nigahbani taraqqi-pasandon mein 'sahir' ek nirala shair tha