wo aurat thi

wo aurat thi
magar ek rup mein hona ise hargiz na bhata tha

wo himmat mein koi mard-e-tawana thi jise mehnat mohabbat aur
insani zamani jawedani falsafon ke tahat jina tha

wo aisi rahiba thi
jis ke daman mein duaen thin

dawaen thin
munajaten tamannaen wafaen kaamnaen

sab use taqsim karna tha
wo man thi

jis ne sae mein chhupa rakkhe the dukh un aatmaon ke
jinhen mahrumiyat miras milti thi

use aazar apnana bahut achchha laga karta tha
usi ne dard sine mein basane ke hunar se nam paya tha

bahan thi
jis ne bhai kah diya to laj rakh kar ke dikhaya bhi

wo har ek dukh ko apna dukh samajhti thi
magar apni khushi auron mein reza reza yun taqsim karti thi

ki jaise us ko qismat ne muqarrar kar rakha hoga
suna hai us ke ja chukne se sare shahr mein wo dard phaila hai

jise us ne
chhupa rakkha tha sine mein

suna hai basti wale log us ko yaad karte hain
har ek bachcha yatimi ro raha hai

bain karte hain wo sab jin ko
zamane ne gharibi aur mahrumi nawazi thi

suna hai us ko wo bhi ro rahe hain jin ko aansu rolna aata nahin tha
suna hai shahr ke goshon mein us ki shabnami aawaz sare dard lautane ko thahri hai

suna hai us ne ab is shahr se munh modne ki than rakkhi hai
wo aurat thi

magar ek rup mein jina use aata nahin tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close