na ab hum sath sair-e-gul karenge na ab mil kar sar-e-maqtal chalenge hadis-e-dil-baran baham karenge na khun-e-dil se sharh-e-gham karenge na laila-e-sukhan ki dost-dari na gham-ha-e-watan par ashk-bari sunenge naghma-e-zanjir mil kar na shab bhar mil ke chhalkaenge saghar ba-nam-e-shahid-e-nazuk-khayalan ba-yaad-e-masti-e-chashm-e-ghazalan ba-nam-e-imbisat-e-bazm-e-rindan ba-yaad-e-kulfat-e-ayyam-e-zindan saba aur us ka andaz-e-takallum sahar aur us ka aaghaz-e-tabassum faza mein ek haala sa jahan hai yahi to masnad-e-pir-e-mughan hai sahar-gah ab usi ke nam saqi karen itmam-e-daur jam saqi bisat-e-baada-o-mina utha lo badha do sham-e-mahfil bazm walo piyo ab ek jam-e-al-widai piyo aur pi ke saghar tod dalo