sakhi

aaj aao sakhi bataun tujhe
an-kahi baat hai sunaun tujhe

kaise tuta milan ka khwab mera
dasht mein rah gaya sarab mera

tum mili ho to aaj sochti hun
parda-e-raaz ko utha hi dun

aaj aao sakhi bata hi dun
dil dhadakta hai aur ye jumbish bhi

ek nakaam aarzu le kar
sham-e-wada ki justuju le kar

yunhi dam-bhar ko muskuraata hai
aur phir dub dub jata hai

aaj aao sakhi bataun tujhe
an-kahi baat hai sunaun tujhe

aarzu dil mein yun machalti hai
jaise be-kal hawa ka git koi

sar ki sangat mein man ka mit koi
dil dhadakta hai ye kisi ke liye

aur machalta hai sarkhushi ke liye
ek khushbu-khiram chalti hai

aur saqi ba-nam chalti hai
bandh kar sham mere pallu se

raat karti hai guftugu mujh se
aaj aao sakhi bataun tujhe

an-kahi baat hai sunaun tujhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close