mujh ko hairat hai tumhein yaad na aai meri dur jate hue ek bar na mud kar dekha kitni sadiyon ke taghaful ne diya tha ek pal kaise mumkin hai guzar jae wo aahat ke bina dil ne ek bar bhi kyun di na duhai meri bar tum ko na laga mujh se juda ho jaana main ye samjhi thi ki main rah na sakungi tujh bin tujh se duri ka tasawwur tha bahut an-jaana phir bhi main khush hun ki is kar-gah-e-duniya mein tum se milne ke liye waqt ne rasta to diya is qadar mujh pe mehrban ye qudrat to hui sath pal-bhar ka sahi sath to paya tera