naya din hai nae andaz se mahfil mein jam aae ki saghar ki khanak mein zauq-e-masti ka payam aae ki saghar ki khanak mein zauq-e-masti ka payam aae mere yas-afrin dil mein nai ummid paida ho shikast-e-tauba bhi ham-rang-e-tajdid-e-tamanna ho meri afsurdagi chhup jae honton ke tabassum mein sukut-e-zindagani jazb ho jae tarannum mein ragon mein khun ke badle mai-e-do-atisha bhar de sada-e-zindagani ko hadis-e-rang-o-bu kar de khizan-na-ashnai ho bahaar-e-naujawani mein hayat-e-jawedani ke maze hon zindagani mein mujhe le jae manzil hi ki jaanib laghzish-e-pa bhi ki be-hoshi ke parde mein rahe hosh-e-tamanna bhi utha saghar ki phir bab-e-tamanna baz hai saqi utha saghar ki duniya ka naya andaz hai saqi