bansuri ki lai pe jaise jagte taron ka nach sardiyon ki kapkapi ko chum le jis tarah aanch chandni ki karwaten jaise andheri raat mein jaise naddi ki rawani aakhiri barsat mein jaise lahren chhed den dhime suron mein jal-tarang jaise kaliyon mein sama jae bahaaron ki umang ban ki khamoshi mein jaise mast koyal ki pukar aasman ki chhat pe jaise abr ke naqsh-o-nigar jaise kohsaron ke mathe par shafaq ki dhaariyan jaise titli ki hasin parwaz mein gul-kariyan subh ke sine pe thirke jaise suraj ka jamal raat ke khwabon mein jagen jaise din bhar ke khayal kale kale aasman mein jaise bijli ki lakir jaise zanjiron se khele qaid-khane mein asir