mere aazad watan teri bahaaron ko salam teri pur-kaif faza tere nazaron ko salam jin ki khidmat se chamki hai watan ki qismat jagmagate hue un chand sitaron ko salam karwan jin ka luta rah mein aazadi ki qaum ka mulk ka un dard ke maron ko salam likh gae apne lahu se jo wafa ke qisse un shahidon pe darud un ke mazaron ko salam 'tahira' salgirah aaj hai aazadi ki hind ke khurd-o-kalan sathiyon pyaron ko salam