hum par thi pyare bachcho nani ki mehrbani rozana raat ko wo kahti thin ek kahani ek raat ko sunaya barsat ka fasana kahne lagin ki mausam ek roz tha suhana tha dekhne ke qabil fawwara aasmani dariya se la ke baadal barsa rahe the pani talab ban gaya tha aangan hamare ghar ka tahni pe us ki bachcho baitha tha ek tota us ko jhula raha tha aa kar hawa ka jhonka dalan mein se billi tote ko tak rahi thi lalach mein ral us ki goya tapak rahi thi jaldi se us ne hamla parchhain par kiya jo tota na hath aaya pani mein gir gai wo pachhtai apne dil mein ghabra ke aai ghar mein aakhir to jaanwar thi kaamil na thi nazar mein bachcho khuda ne tum ko bakhshi hai hoshiyari har kaam se ho zahir danishwari tumhaari