kaun gustakh hai kya nam hai kyun aaya hai pahre walo use khanjar ki ani se roko apni banduqon ki nali se darao us ko aur us par jo na mane use topon ki salami de do jashn ka din hai meri salgirah ka din hai aaj mahlon mein jalenge mah-o-anjum ke charagh aaj bujhte hue chehron ki zarurat kya hai aaj mayus nigahon ki zarurat kya hai kaun bebak hai badhta hi chala aata hai pahre walo use khanjar ki ani se roko aadmi hai ki mera wahm hai aaseb hai ye us ke chehre pe to zakhmon ke nishan tak bhi nahin goliyan us ke siyah sine se takra ke chali aati hain us ke honton pe tabassum hai ki munh khole hue azhdaha takht nigalne ko chala aata hai maut kis bhes mein aai hai mujhe lene ko aaj kyun aai hai kyun aai hai kyun aai hai main tujhe gauhar-o-almas diye deta hun tere thithure hue hathon ko hararat dunga jashn ka din hai meri salgirah ka din hai kaun ho kaun ho tum ai gharibon ke khudawand amiron ke rafiq main samajhta tha mujhe aap na pahchanenge main ne angrez ki jailon mein jawani kati main ne thithure hue hathon se jalae hain diye jin ki lau aaj bhi tufanon se takraati hai jin ko angrez ki phunkon ne bujhana chaha aur khud un ki zaban jal ke siyah-fam hui wo diye aaj bhi bar-laun ki chikhon se lade jate hain aap ko yaad na hoga shayad kaun ho kaun ho tum main ne tarikh ki lahron mein rawani de di main ne budhon ki rag-o-pai mein jawani de di main ne jhukte hue shanon ko tawanai di kar-khane meri aawaz se bedar hue aur ek meri hi aawaz nahin gunji thi saikdon waqt se haare hue insan uthe kuhra-e-waqt pe chhane ke liye kaun ho kaun ho tum auraq mein hi nahin aaya hun saikdon waqt ke mare hue insan bhi hain saikdon waqt pe chhae hue insan bhi hain kaun ho kaun ho tum aaj bhi ketiyon mein bhuk uga karti hai kar-khanon mein dhuen ke baadal tauq aur aahani zanjiron mein dhal jate hain kaun ho kaun ho tum aap insan ki azmat pe yaqin rakhte hain aap ke hukm ne kitnon ki zabanen si din aap ki mumlikat adl mein kitne bimar qaid-e-tanhai mein dam tod chuke kaun ho kaun ho tum aap ki bediyan afrad ko paband bana sakti hain aap ki bediyan insan ko paband nahin kar saktin kal yahi shama jo sine mein farozan hai aaj aap ke sare tilismat jala dalegi kal unhin kheton mein ujde hue khaliyanon mein sal-ha-sal ki pamal zamin apne sine ke khazanon ko lutati hogi kar-khane bhi siyahkar khudaon se rihai pa kar lakhon insanon ki taskin ka saman honge ek nae ahd nai zist ka unwan honge aur phir waqt ka bebak moarrikh aa kar surkh parcham ko salami dega kaun ho kaun ho tum bhaardwaj