har baras in dinon main kahin bhi rahun silsile abr ke sust-rau tez-rau qafile abr ke yunhi aate hain qulzum lutate hue yunhi jate hain ye un ka dastur hai lekin ab ke baras main akela sar-e-dasht tishna khada un ko rah rah ke aawaz deta raha mujh ko bhi sath lete chalo qafila chhut gaya hai mera silsile abr ke qafile abr ke yunhi aate rahe yunhi jate rahe kab se aankhon ko hasrat hai barsat ki