dam-e-umr-e-rawan ka daera rukta hai ek lamhe pe shayad har baras wo meri paidaish ki saat hai tumhaari ya hamare nanhe bachchon ki hamare rishta-e-indraj mein ya shoala-e-gul se munawwar ghair-rasmi ajnabi wabastagi ki jo rag-o-pai mein musalsal ho gai main rokta hun bewafa lamhe ko paiham sinchta hun khun se is ko darida ungliyon se kat kar us ko khilata hun main dil ka khosha-e-nazuk magar ye tair-e-rana pareshan faslon ke nur ka rasiya zaminon aasmanon aur khalaon se bhi shayad mawara hai mukhtasar se jashn par hansta hua har sarhad-e-imkan se meri tirgi se dur jata hai falak ki raushni ki wadiyon mein muntazir hai koi an-jaana anokha khubsurat ajnabi us ka