phir maqam-e-rifaqat pe mudgham huin suiyan donon ghadiyal ki raft o aamad ke chakkar mein ghante ki aawaz mein mera dil kho gaya apni tik-tik mein bahta raha waqt kitna samay ho gaya! sal-ha-sal pani ke chashme se gile kiye lab anasir ne jalte alaw pe hath apne tape mazahir ne sine ki dhadkan se na-did ke rang-o-roghan se ashya ne binai hasil ki maqsum ke taqche se jahan phul rakkhe the lakdi ke sanduqche se khazana utha le gai raat mutthi se girte rahe ret ki misl din! ek din sehn ki pil-gun dhup mein aahani chaarpai pe lete hue ek jhapki si aai to main so gaya mere chehre pe barish ki ek bund ne gar ke dastak di: baba chalo, apne kamre ke andar samay ho gaya