qais aasuda-e-naqsh raqs-e-rawan hairat-e-chashm parina hai ret aaina hai aur zangar-e-aina har aalam-e-chaub-o-abresham-o-khak-dan ret aaina hai jab manaron mein ghanti baji wo achanak mudi kal yahan koi tha wo gajar dam uthi us ne angdai li kal yahan koi tha sanp lahraati sadkon pe chalte hue wo ruki kal yahan koi tha kal yahan kaun tha qais aasuda-e-naqsh raqs-e-rawan kaun suraj ko angar-zadon ke ghar le gaya kal yahan bin muradon ki barish ka pahla phuwara pada qais aagah-e-dad-o-rasad qais be-kin-o-kad ret aaina hai aur zangar-e-aina har aalam-e-chaub-o-abresham-o-khak-dan khauf ek saya-e-saiban sare ghar band hain sare ghar band hain aur darichon pe baithi hui ladkiyan mujh pe hansne lagin nind ek chandni nind patthar pe phaili hui chandni kaun patthar pe chalta rahe aur sambhalta rahe kaun sota rahe ret aaina hai qais aasuda-e-naqsh raqs-e-rawan hairat-e-chashm parina hai ret aaina hai