dar-e-gul pe suraj ki dastak se pahle saja lunga apni jabin par gai raat ki khunkiyan saaton ki muqaddar mein hai tishnagi kaise inam shabnam ki jurat karun sharmsari se lautun ye mumkin nahin ho sake to abhi shab-e-rafta ki saugand ko bhul kar titliyon ke sabhi zang chhune chalun yun nae din ke hamrah jine chalun