samundar jo zamin ke chaaron taraf phaila hua hai ek hi hai hum ne use mukhtalif nam de rakhe hain zamana bhi ek hi hai wo kahan badalta hai badalte to hum hain mazi hum jo badal gae mustaqbil hum jo badalne wale hain aur haal hum jo hain waqt ek ghair munqasim lambi dor hai azal abad ke darmiyan mazi haal mustaqbil hamare diye hue nam hain samundar ki tarah kya khuda namon se taqsim ho paya hai