bitha ke kandhe pe lai thi raat use shafaq ne hans ke kiya tha istiqbaal hawa ne ragni chhedi faza mein git ghule saja ke patton ki thaali mein os ke jugnu utari thi pedon ne aarti us ki magar bulandi pe aa kar badal gae tewar shikan ghurur ki peshani par jhalakne lagi nigah-e-qahr-o-hiqarat se dekhti sab ko mizaj garm hua aur garm aur bhi garm junun sar mein faqat main ka hi samaya raha aur is ghamand mein wo bhul baitha hai ki us ke pichhe hi hai sham ka saya zamin bulandi ki hoti nahin hamwar kabhi yahan pe shakhs nahin shakhsiyat thaharti hai